Chor bazaari do nainon kee pehle thi aadat jo hat gayi 

Pyaar kee jo teri-meri umr aayi thi vo katt gayi

Tu bhi tu hai main bhi main hoon duniyaan saaree dekh ulat gayi

Tu naa jaane main naa jaanoon kaise saaree baath palat gayi

Ghatni hi thi ye bhi ghatana ghatate-ghatate lo ye ghat gai

Haan chor bazaari do nainon kee pehle thi aadat jo hat gayi


Jhoomariya jhoomariya manwa

Ban baagi sa

Jhoomariya jhoomariya tanwa

Bedaagi

Man mera dhad dhad dhad dhadkaaye

Koi na phir sar sar sar chadh jaaye

Kasam se baazi haath na apne aaye

Nain agar lad jaayein


Taareef teri karnaa tuje khone se darana

Haan bhool gaya ab tujh pe din mein chaar dafa maranaa


Taareef teri karnaa tuje khone se darana

Haan bhool gaya ab tujh pe din mein chaar dafa maranaa


Laaj-sharam kee choti-moti jo thi dori vo bhi katt gayi

Chowk-chaubaare gali-mohalle khol ke main saare ghunghat gayi

Ek hue the do se donon donon kee ab raahen bant gayi

Haan chor bazaari do nainon kee pehle thi aadat jo hat gayi


Bade hi nain ladaake se

Lade the roz baazaaron mein

Kisi ko dhoond hi lete the

Sadak pe roz hazaaron mein

Bahas nahin kam kam kam karte

Na ab yeh gham gham gham karte

Badal gaye dheere dheere do naina

Mera kya kya kya kehna


Haan chor bazaari do nainon kee pehle thi aadat jo hat gayi

Haan rang-birangaa paani pee ke sidhi-saadi kudi bighad gayi