pal pal jeena muhaal
mera tere bina
ye saare nashe bekaar
teri aankhon ke siwa

ghar nahi jaata main bahar
rehta tera intezar
mere, khwabon mein aa na
karke solah sringaar

main ab kyu hosh mein aata nai
sukoon ye dil kyu pata nai
kyu todu khud se jo the waade 
je ab ye ishq nibahana nai

main modoon tumse jo ye chehra 
dubara nazar milana nai
ye duniya jaane mera dard 
tujhe ye nazar kyu aata nai

soneya yun tera sharmana meri jaan na lele
kaan ke peeche zulf chhupana meri jaan kya kehne
zalima toba tera nakhra iske waar kya kehne
tham ke bethe dil ko ghayal kahi haar na bethein

teri nazrien mujhse kya kehti hai
inme wafa bethi hai
thodi thodi si razi 
thodi si khafa rehti hai

log hai zaalim bade
inme jafa dekhi hai
ye duniya teri nahi 
maine tujhme haya dekhi hai

pal pal jeena muhaal
mera tere bina
ye saare nashe bekaar
teri aankhon ke siwa

ghar nahi jaata main bahar
rehta tera intezar
mere, khwabon mein aa na
karke solah sringaar